Ek Chehraa Saath Saath Raha Jo Mila Nahin
Ek chehraa saath saath raha jo mila nahin
kisko talaash karte rahe kuchh pata nahiin
shiddat ki dhuup tez hawaaon ke baavajuud
main shaaKh se gira huuN nazar se gira nahin
aaKhir Ghazal ka tajmahal bhi hai makbara
hum zindagi the humko kisi ne jiya nahin
jiski mukhalafat hui mashhuur ho gaya
in pattharon se koi parinda gira nahin
taariikiyon mein aur chamakti hai dil ki dhuup
suraj tamaam raat yahaan Duubtaa nahin
kisne jalai bastiyaaN baazaar kyon luTe
main chaNd par gaya thaa mujhe kuchh pata nahin
Eknazar